Bichhar k mujh se kabhi to ne ye bhi sochaa hai
By Mohsin Naqvi
Bichar k mujh se kabhi to ne ye bhi socha hai
adhura chand bhi kitana udas lagata hai
ye vesl ka lamha hai ise rayegan na samajh
ke is ke baad vahi duriyon ka sahara hai
kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar
kise Khabar tere saye mein kon betha hai
ye rakh-rakhao muhabbat sikhaa gia us ko
vo roth ker bhi mujhy muskra k milta hai
mein kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakatii hai
tera badan hai ke ye aainon ka dariya hai
No comments:
Post a Comment